Saturday, May 24, 2008

Umeed.

Hay udaas buhat yay raatain
chupee hain in bay-sudh sansoon main
kayee jaan ba'lub muskurahatain
jo kisi kay anay kee muntazir hain
hain jin kee umeed say bundhee
mayri sub natawaan umeedain
kay kisi din , kisi lamhay
jub koi dastkay day ga mayray dur pe
kaisay uthain gee bay'taab nigahain
uss chara'gar kee taraf
kay jis kay anay say khil uthain gee
mayray chaman kee sub kaliyaan
kahain gay jis ko dekh kay , sub laala-o-gul
'ab aa he gaye ho , to chalay ao hum-dum
buhat musafatain kaateen hain tum nay
buhat mudataain guzaaree hain hum nay
ao , yaaraan-e-chaman kay pass bhee
jo tuktay hain tumhain , baytab nigahon say
kehtay hain sub , iss gulshan kay rehnay walay
ae umeed-e-subah, ae umeed-e-bahaar
gurchay, kiya hum nay buhat tumhara intezaar
per nahi hay, koi shikwa hamain ab koi
guzar gaye hain ab sub zard lamhay
nahi aye gee ab yahan khizaan koi'
dhoondta hoon tumhain main aye dil-afroz
kay bujh raha hay mayra dil-e-pur'soz
per hay abhi bhee , kuch ajab see umeed
kay milay gee humain bhee koi naveed
dekhain hay hum nay ...
badaltay huay wekt kay dhaaray
aaj nahi jo hum say mukhatib ...
to kul hoon gay hamaray

No comments: