Monday, December 31, 2007

Phir wohi...

phir wohi baad-e-khizaan kay charchay
unhi payron pe phir say khushk zard pattay
kaisay hain iss gulshan kay rehnay walay
jo nahi samajhtay, tareek-o-rasm-e-ishq
kehtee hay faseel-e-shehr, aseeran-e-watan say
kahan jao gay mayray abaad kaaro?
mujh main he panah-e-dushman patay
phir mujh ko he ho raund daaltay?
nahi hay bahaar un kee
nahi hay khizaan un kee
nahi hay chaman un ka
nahi hay koi rung un ka
kay jis shehar kay baasion ka
na ho josh-e-kayamat apna
na ho jazba-e-zameer apna
phir wohi daykhta hoon aaj main
phir wohi ghabra kay sochta hoon main
'giree hay jis pe kul bijlee ,
woh mayra ashyaan kyun ho?'

1 comment:

Anonymous said...

Good dispatch and this fill someone in on helped me alot in my college assignement. Thanks you seeking your information.